Poet : Fazeel Mohsin ( AIIMS. New Delhi)
Voice : Fazeel Mohsin
Veerani-e-manzar Tera unwan sa quñ hai (unwan ~subject /topic)
Nazzara-e-hasti Tera bejan sa quñ hai (nazzara-e-hasti sight of existance)
Yadoñ ki chitaoñ se dhuañ uth-ta hai har simt (simt ~direction)
Ae sheher-e-butañ aaj to shamsan sa quñ hai (shehar-e-butañ ~ city of idols/ beloved )
Is shehar meiñ khush-Hal hua karta tha maskan (maskan~ resting place)
Ghar kaise lute raasta veeran sa quñ hai
Har Shaq pe parbasta Nazar aate haiñ tayar ( parbasta ~ tied wings/ folded wings/ *can also be taken as ready to fly)
Parwaz pe qadghañ ka ye saman sa quñ hai (qadghañ ~prohibitional injunction)
Vo shehr jahañ raqs meiñ laila-e-tarab thi (raqs ~dance , laila-e-tarab ~ night of joyfulness )
Kya hogaya aisa wohi sunsañ sa quñ hai
Mausam meiñ baharoñ ki khizañ khae hue phool ( khizañ khae hue phool~ murjhae hue phool)
Insañ inheñ dekh ke anajan sa quñ hai
Quñ tujhko sukuñ raas nahiñ aata hai pyare
Mohsin ki tabiyat meiñ ye haijan sa quñ hai ( haijan~anxiety )
Тэги:
##Delhi_#Ghazal_#Poetry_#AIIMS_#Doctor